We Recommend
Emax Media Presents ||| MAIN BANJH NAHIN HUN ||| EPISODE 03 DIRECTOR : Syed Farhan Gauher Dop : Shehroz Khan
Writer: Mustafa Hashmi
Assistant Director : Wahab and Hamza CAST :
ZAIN AFZAL
Madiha Zaidi
Anamta Quershi
Tasneem ANsari
Sofiyan khan Visit : www.emax.tv
InstaGram : www.instagram.com/emaxtvofficial
Facebook : www.facebook.com/emaxtv
Twitter : Twitter.com/emaxtv1
#emaxtv #entertainment #pakistanientertainment #mbnh
Olad ki khawahish aur bacho ki tamanna insan ko is qadar majbor kr deti ha, k aasayisho mein pala insan bhi tapti dhoop aur serao k safar ko wasel e zafar samajhny lagta ha. Ye kahani bhi aik aisy he gharany ki ha jahan god bharny ki khawahish mein SABA kbi mazaro ka rukh karti ha to kabhi hawas parast aamil k aastano par,, SABA ka shohar HASAN us sy be panah muhabbat karta ha zindigi ki hr khushi us k qadmo mein la kr dhair kr dena chahta ha lekn bachy ki arzo k liy wo bhi SABA ki taraf he dekhta ha. FAREEDA sulah jo orat ha wo saas hony k bawajod apni baho k sath muhabbat aura man k sath rehna chahti ha aur is koshish mein wo kamyab bhi ha. NAZIA rishty mein SABA ki khala saas ha , magar shatir aur aayaar hony k sabab SABA ko aik aankh nhi bhati. NAZIA he wo orat ha jo FAREEDA aur HASAN ko is bt ka ehsas dilati ha k tmhari baho be olad aur shayed banjh ha. Ghr mein b achy ki kami ki taqrar bharny lgti ha, to SABA ko aisa lagta ha jesa is mehromi ki tanha wohi zimadar ha, wo pehly doctors ka rukh karti ha klhuda khuda kr k j busy pehli khushi naseeb hoti ha to SABA ko youn lagta ha jesy ab wo surkhro hui ho. NAZIA bhi is khushi ki khabar k badkhamosh ho jati ha magar qismat ki sitam zarefi k SABA ka pehla miscarieg ho jata ha, SABA udas ho jati ha. HASAN usy sambhalny ka hosla deta ha, FAREEDA samjhati ha aur SABA aik br phir bachy ki aas liye umeed sy ho jati ha. Is bar pora ghar SABA ki care karta ha, us k aram aur khorak ka khayal rakhta ha, routeen k check up hoty hein, magar qismat aik bar phir dhoka dy deti ha aur SABA ka dosra miscarieg ho jata ha,
Phir to ghr sy khandan tk cha magoiya shoro ho jati hein, koi isy SABA par bhoot pareet ka saya samajhta ha, koi isy olad ki bandish kehta ha,
Garaz jitney moo utni baten.