Top Pakistani Drama Main Banjh Nahi Hun Ep 18
Aulad ki khawahish aur bacho ki tamanna insan ko is qadar
majbor kr deti ha, kay aasayisho mein pala insan bhi tapti
dhoop aur serao k safar ko wasel e zafar samajhny lagta ha.
Ye kahani bhi aik aisy he gharany ki ha jahan god bharny ki
khawahish mein SABA kabi mazaro ka rukh karti ha to kabhi
hawas parast aamil k aastano par,,
SABA ka shohar HASAN us sy be panah muhabbat karta ha
zindigi ki hr khushi us k qadmo mein la kr dhair kr dena
chahta ha lekn bachy ki arzo k liy wo bhi SABA ki taraf he
dekhta ha.
FAREEDA sulah jo orat ha wo saas hony k bawajod apni
baho k sath muhabbat aura man k sath rehna chahti ha aur
is koshish mein wo kamyab bhi ha.
NAZIA rishty mein SABA ki khala saas ha , magar shatir aur
aayaar hony k sabab SABA ko aik aankh nhi bhati.
NAZIA he wo orat ha jo FAREEDA aur HASAN ko is bt ka
ehsas dilati ha k tmhari baho be olad aur shayed banjh ha.
Ghr mein bhi achy ki kami ki taqrar bharny lgti ha, to SABA ko
aisa lagta ha jesa is mehromi ki tanha wohi zimadar ha, wo
pehly doctors ka rukh karti ha klhuda khuda kr k j busy pehli
khushi naseeb hoti ha to SABA ko youn lagta ha jesy ab wo
surkhro hui ho.
NAZIA bhi is khushi ki khabar k badkhamosh ho jati ha
magar qismat ki sitam zarefi k SABA ka pehla miscarieg ho
jata ha, SABA udas ho jati ha.
HASAN usy sambhalny ka hosla deta ha, FAREEDA samjhati
ha aur SABA aik br phir bachy ki aas liye umeed sy ho jati ha.
Is bar pora ghar SABA ki care karta ha, us k aram aur khorak
ka khayal rakhta ha, routeen k check up hoty hein, magar
qismat aik bar phir dhoka dy deti ha aur SABA ka dosra
miscarriage ho jata ha,
Phir to ghr sy khandan tk cha magoiya shoro ho jati hein, koi
isy SABA par bhoot pareet ka saya samajhta ha, koi isy olad
ki bandish kehta ha,
Garaz jitney moo utni baten.
SABA apna hosla har jati ha, br br miscarriage k bad NAZIA
apni bhen FAREEDA ko is bt par aamada karti ha k HASAN ki
dosri shadi karwai jaye.
Is khabar k bad SABA andr sy tot jati ha, wo pehly to apni
baqa ki jang larti ha, halat ka muqabla karti ha aur phir aik
taveel kashmakash k bad apna khoya hua maqam dobara
hasil kr leti ha,
Isi doran qismat ki devi bhi us par meharban ho jati ha, wo
apny Bety ki wiladat par pory khandan aur samaj ko ye
paigam deti ha k wo qudrat k faislo par apni khawhishat k
mehal na banaye….
Watch More Top Pakistani Drama Series on Emax TV
You Also May Like
Emax Media Presents Rangdaari (romcom / family drama)) Director: Rao Ayaz Shahzad Produced by : Rao Ayaz Shahzad/Yasir Shah Co producers: Amjad Ali Rao/Amir Akbar Shaikh/Shehrooz Khan Executive producer : Farhan Gauher Dop : Shehrooz Khan Associate director : Muhammad Abbas Raza Line Producer: HAmza KAyani Story/Screenplay: Nina Arora Dialouges : Mubasharah Ansari ( Ma Na) Project Head: Syed Athar Post: Rao Xhahbaz Music: Wajid Saeed Edit: Shaiz Khan RAS Films* / Yasir Shah Films Production Starring : Michelle Mumtaz Hina Ashfaque Hussain Minhas Akbar Ali Munazzah Motiwala and Yasir Shah #emaxtv #rangdaari #familydrama #aajentertainemnt #hinaashfaq #akberali #yasir #rangdaari